User:FM512 (I Love Azadari)

From Wikinews, the free news source you can write!
Jump to navigation Jump to search

Logon ne IMAM JAFFAR SADIQ(A.S) se sawal kia:

"App k pass Wujood-e-KHUDA ki DALEEL KIA hai?"

IMAM(A.S) ne farmaya:

MERA wujood, Wujood-e-KHUDA ki DALEEL hai.

Kyun-k agar mein kahun k mein KHUD apne wujood ka KHALIQ hun to ye daawa in DO haalaton mein MAHAAL(na-mumkin) hai

1. Mein ne apne wujood ko us waqt khalq kia jub mein MAUJOOD THA. Ye (apne aap ko khud hi dobara khalq karna) LA-HAASIL hai.

2. Mein ne apne wujood ko us waqt khalq kia jub men khud MAUJOOD NA THA . Ye NA-MUMKIN hai kyun-k NA HONA apne ap ko honay mein tabdil NAHIN kar sakta.

Is liay YAQEENAN AIK AISI HASTI ne (humein) paida kia hai, jis ka (kisi waqt bhi) maujood na hona MAHAAL hai.